Tuesday, 31 January 2012

CONCEPT OF LOTA-ISM IN 21ST CENTURY BY COL (R) RAJA MUHAMMAD NASIM KHAN IN ROMAN ENGLISH

 LOTAISM---- A MISNOMER!I wanted to write this in English but for the sake of majority I am writing in roman urdu! Any inconvenience is regretted! Face book ke dostoon ki lotoon se katni ragbat aur un ke hawalay se tahqeeq o tajzeeya qabil a rashak hai!. Ap sab agar lotoon ke baray main merey rai aur tajzeia sun lain to shayad ap sotch sakian ke es dunya main lotay katnay ahum aur un ka kardar kantna zaroori ha. 21st sadi main political party system aur party affiliations ke hawalay jo tahqeeq hui hai aur us ke bad jo rai qaim ke gai us ke gist ye hai:- 

1. Parties aur un ke qayaqat( chaiy acheey ha ya buri hai chaiay liaq ha ya naliaq ha) un par unda ahtemad aur un ke her achay buri akdam ko mahaz karkon ya supporters bun ker undi taqleed karna aik hamaqat ha aur sayasi nazam main ye aik nasoor ke haseyat rakhti hai.Es say leadership aur jamiat tu palthi bhoolthi hain aur awam sirf nahray laga ker khush aur, un ko milta kutch naheen sawai shabash aur thapki aur membership card.50 sala party, qayadat qaim o diam, zameen par kam aur awam ke behtari zero.AK ke leadership aur parties ka 60 sala kardar aur in par unda ahtemad kis hud tak hamari state aur awam ya Kashmir cause ke liay soodmund raha ???!!! 


2. Ye kon sa osool aur sayasi phalsafa hai ke ap her sorat main jis party man janum latay hain ussi main marain? Chaiy wo mulk aur qoam ka mufad main ha ya naheen? Ye kon sa osool hai ke aik party leadership ya munshoor ap ko pasand naheen ya qayadat ap ke hum khayal naheen pher be ap chimtay rain? Ye kon se aqal mundi hai ke dada sb ne aik party 80 sal pehlay join ke ab annay walley nasloon par farz hai ko wo maratay dum tak us party ke janazay ko othay ker rakhain? 

3. Ye bat dakhnay main eye hai ke 21st sadi ka shrooh main America aur Europe main aik aam admi aur voter ne fasala keya hai ke wo apnay maan bap, khandan aur party politics se hat ker sirf aur apni zarorat aur mulki zarorat ko dhek ker apnay pasand ke leader aur jamiat ko vote dain gay .Es soch ke tahat bap apna, maan apna aur aulad apna apna vote dehtay hain aur koi aik doosray se ghella shikwa naheen kerta balkay es ko mayoob aur jamuriat ke mufad main sumjah tata hai.

 4. Aj kal ke sayasi dor main mazboot qayadat ke ye koshish hoti hai ke kamzoor aur maqalatun kum zarf logoon ko sath le kar chalian ta ke wo sya safaid ke mailk hoon aur koi awaz un ke khalaf na uthay.Ye formula AJK 50 sal se lagoo hai aur zadia tar essi par kam chalta hai.Jab tak ap qayadat ke ankhoon main ankain dal ker awam ke hoqqooq ke liay bat naheen karain gay ap ko koi gass naheen dalay ga. Agar ap qayadat aur party se chipkay rai tu zero par out. Agar ap na haq par bagawat ke tu ap awam ke hoqqoq lay sakain gay aur qayat rahay rast par aa jai gi.

 5. Sayasat main qayadat aurparties main tabdeelian aur naya khoon ka ana intahi zaroori hai. Wo tab he ho sakta hai ka ap qayadat ke khalaf ausooli muqaf rakhain aur ghalat ko ghalat aur durust ko durust khain. 

6. Sayasat main filteration yani tabdeeli aur nai charoon ka ana jana aik tasasal ka sath jari rahana chiay ta ke jumood tari na ho. Ye tab he ho sakta hai jo Prime Minister sahi kam naheen karta ya corrupt hai ya wo awam dost naheen sab milker us ko constitutional tareeqay se tabdeel karian aur new incumbant ko lain. AJK main pechlay 5 saloon main do char thatkay lagay aur kayi leaders jo soch rai tha ke aglay 20 sal un ke hain dher howay. Ye sayasi amal ka hissa hai.Ap khud dakhian is ka asar neya PM zaroor pechay mur mur ker dhata ho ga ke kis waqat keya ho ga. Lahaza hamaray mahool main filteration ka amal ash hud zaroori hai ta ka naliaq, naail log atay jatay rain aur awam ko relief mil sakay. Jamood ka totna aur wo log jo awam dost naheen un ka khalaf mahaz aur no confidence jamoriat aur sayasat ka ahum joz hona zaroori hai. 

7. Ab zara 1948 se la ker aj tak tamam parties aur un ke qayadat ke karkardegi ka tajzia karian ke mundarja zail batoon main un ke keya contribution ya hisa hai:--- 

1. Azadia Kashmir ke liay kia anley aqdamat keya gaiy aur keya musbat asraat muratab howay. 

2. Azad Kasmir ke huqqoq aur awam ke falah o bahbood ke liay kis na keya amlley aqdamat keya aur un ke asraat.

 3. Azad kashmir ke constitution/AEEN aur es ke autonomous status ke liay kis ne keya keya. 

4. Azad Kashmir ko napni paoon par gharay honay aur khud kafeel banay ke liay kis ne kya kiya.

 5. Naliaq aur corrupt qayadat ke khalaf kaya aqdamat keyay gai. 

6. Agar qayadat naahel thi to us ko kaya us ne az khud ya jamiat ya logoon ne farg keya. Keya qayadat ne kabi khud apni nahalee aur naliaqi ka atraf ker ka kursi chori. 

7. 65 saloon main AJK main khud kafalat aur aam admi ke mayar a zindgi ko bhahanay ke liay kis na keya keya. 

8. AJK main TOURISM< HYDLE< FOREST< MINERALS aur deghar natural resources ko kis had tak awam ke falah o bahbood ke liay istamal keya gaya. 

9. Kis na AJK ko basic aminities aur infra structure ke zaroot ko pura keya. Maasla a Kashmir ke hawalay se kis na FIRST PARTY HONI KE BAWOJOOD kis hud tak apna jaiz muqam hasil kernay India Pakistan ka brabar ka status hasil kernay ke jadojahid ke aur keya natiaj hasil keya? 

10. LOC ke aar par qayadat aur Kashmiri community , world over ke darmayan AJK ke kis qayadat na koi qardar ada keya aur us ke natiaj keya hain. Bhoot lumba ho geya------ akhir main, un parties, us leadership, un munshoor ka sath dain jo awam dost aur zameen par tabdeeli lian warna un ko chor dain aur un ka sath dain jo ap ke khyal main mundarja bala zorooryat ke liay musbat kardar ada ker saktay hain. Jin ko ap lotay kehtay hain un main be aik musbat pheloo hai un ke jaiz hosla afzaiy zaroori hai ---- AGAR SARAY CHUMCHAY BUN JAIN TUB BE GUZARA NAHEEN!!!???

No comments:

Post a Comment